Wednesday, August 15, 2012

Rasulullah (s.a.w.w.) said 'Beware!My Ahlul-Bayt are like the Ark of Noah. Whoever embarked in it is saved, and whoever turned away from it is perished'.


Syed Akram Ashraf 

Need Arabic matn of this hadees-
hadith-
Rasulullah (s.a.w.w.) said 'Beware!My Ahlul-Bayt are like the Ark of Noah. Whoever embarked in it is saved, and whoever turned away from it is perished'.

References: Fadhail Sahaba V2 Page 786 by Imam Ahmad ibn Hanbal
Al Mastadrak al Hakim(Hadith no.3279 and 4703)
Mishkat al Masabih Volume 2 page 258 and many more


    •  Syed Akram Ashraf

      is this hadees Sahih,Hasan or daif???

      Wajahat Hussain Al-Hanafi

      حدثنا العباس بن إبراهيم، نا محمد بن إسماعيل الأحمسي، نا مفضل بن صالح، عن أبي إسحاق، عن حنش الكناني قال: سمعت أبا ذر يقول: وهو آخذ بباب الكعبة: من عرفني فأنا من قد عرفني، ومن أنكرني فأنا أبو ذر، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول: «ألا إن مثل أهل بيتي فيكم مثل سفينة نوح، من ركبها نجا،ومن تخلف عنها هلك»


      Fadail e Sahab main is sanad k sath hay

      مفضل بن صالح

      Daif hay

    •  Wajahat Hussain Al-Hanafi

      Musnad Bazzar main in alfaaz k sath hay !
      حدثنا عمرو بن علي، والجراح بن مخلد، ومحمد بن معمر، واللفظ لعمرو، قالوا: نا مسلم بن إبراهيم، قال: نا الحسن بن أبي جعفر، عن علي بن زيد، عنسعيد بن المسيب، عن أبي ذر، رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم ": «مثل أهل بيتي كمثل سفينة نوح من ركب فيها نجا، ومن تخلف عنها غرق، ومن قاتلنا في آخر الزمان كان كمن قاتل مع الدجال»

      is main

      الحسن بن أبي جعفر

      Daif hay

    •  Wajahat Hussain Al-Hanafi

      Ash Shari'ah main Imam Aajri nain iski ek aur sanad di hay abu Dhar R.A say hi !

      حدثنا أبو بكر عبد الله بن محمد بن عبد الحميد الواسطي ,حدثنا هارون بن عبد الله البزاز قال: حدثنا سيار بن حاتم قال: حدثنا جعفر بن سليمان الضبعي قال: حدثنا أبو هارون العبدي قال: حدثني شيخ قال: سمعت أبا ذر يقول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول: «مثل أهل بيتي مثل سفينة نوح عليهالسلام من ركبها نجا ومن تخلف عنها هلك»

      is main 1 rawi Majhool hay
      شيخ
      أبو هارون العبدي

      Yeh Matrook hay aur Shia tha !

      جعفر بن سليمان الضبعي

      Yeh Thiqah hain magar shia thy
      yeh Sanad main Daif hay

      Ash Shari'ah-
      Imam aajri, 2214/5,#1700
    •  Wajahat Hussain Al-Hanaf
      i Is hadith ki Imam Aajri nain ek aur Sanad bhi di hay Abu Dhar R.A say hi !

      وحدثنا أبو بكر بن أبي داود قال: حدثنا عباد بن يعقوب قال: حدثنا عمرو بن ثابت , عن أبي إسحاق , عن حنش بن المعتمر قال: رأيت أبا ذر وهو آخذ بحلقة باب الكعبة , فقلت: ما شأنك؟ فقال: من لم يعرفني , فأنا أبو ذر , سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول: «يا أيها الناس إنما مثل أهل بيتي مثل سفينة نوح من ركبها نجا ومن تخلف عنها غرق»
      Is main
      حنش بن المعتمر
      Sadooq hain magar Inko Wahan ho jata tha, aur Irsaal karty thy !

      أبي إسحاق
      Yeh Abu Ishaaq Sabi' hain Tabi' hain.. Ibn e Umar R.A ka jab paun mubarak so gaya to unhoun nain kaha Ya MUHAMMAD (SAW) !
      Yeh us hadith k rawi hain !! :)
      Thiqah hain...
      Magr Akhri Umar main inko ikhtilaat hua tha !

      عباد بن يعقوب
      Sadooq tha magar Raafzi tha..
      Magar iski rawayaat Bukhari, Tirmidhi aur Ibn e Majah ma hain...


      Iski Hadith ki sanad main Du'f hay thora !
      Main isko Hasan naih kehna chahun ga !

      Ash Shari'ah-Imam aajri, 2215/5, #1701

    • Wajahat Hussain Al-Hanafi 


      Syed Akram Ashraf

      Is Hadith ki Jo Asnaad meri nazar main thin sab ko jama kar diya hay !!
      Ab Ap khud Faisla day di jiay !

    • Wajahat Hussain Al-Hanafi 

      Mera Faisla is Hadith k bary main wohi hay jo is Hadith k bary main Ibn e Hajar nain diya k

      "Main Ilm ka Shyhar hun aur Ali uska darwaza hain"

      Is ki Tamam Asnaad main Shia ya Raafzi Ruwaat hain !!
      Magar Asnaad zyada hony k baais Imam Ibn e Hajr aur Imam Suyuti nain is Hadith ko Hassan Qarar diya !!

      yehi Haal Is hadith ka hy jisy hum nain discuss kiya !!
      Main bhi ALLAH k bharoosay par is Hadith k Hassan hony ka Faisla dayta hun !

      Agr main Ghalat hun to ALLAH paak mujhy maaf farmaay !
      Agr main Sahi hun to yeh sirf uski ata hay !
      Aur Niyyaton k haal wo behtar janta hay...

    •  Muhammed Irshad Ul Haque

      Wajahat Hussain Al-Hanafi bhai...ek sawaal "Aqaa'id" ke baab mein..aur "usool u hadeeth" ke baab mein aataa hai..mehrbani karke iska jawaab den..!

      awwalan ye bataaiyye

      Iski ek aur Sanad Tabrani nain Ma'jam As Sagheer main bhi di !!

      دثنا الحسين بن أحمد بن منصور سجادة البغدادي , حدثنا عبد الله بن داهر الرازي، حدثنا عبد الله بن عبد القدوس، عن الأعمش، عن أبي إسحاق، عن حنش بن المعتمر، أنه سمع أبا ذر الغفاري ي
      قول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وآله وسلم يقول: «مثل أهل بيتي فيكم كمثل سفينة نوح من ركبها نجا , ومن تخلف عنها هلك , ومثل باب حطة في بني إسرائيل»

      Uper k rawi wohi hain !!

      حنش بن المعتمر

      أبي إسحاق

      Magar is hadith main Abu Ishaaq say A'mash Rawayat lay rahy hain !
      Wo thiqah hain, Hafiz hain !!

      Magar 1 aur masla !
      Is hadith ki sanad main bhi 2 raafzi hain !

      عبد الله بن عبد القدوس
      عبد الله بن داهر الرازي
      Yeh 2 Rafzi hain !

      Hadith ki yeh sanad bhi Daif hui...

      Ma'jam As Sagheer -Tabrani, 240/1, #391

      kya is mein Da'aff Mahezz isliye hai ke do ruwaat Raafzi hain?

      agar wo shia hote to kya hukm lagta hai?
      agar dono ruwaat Ahlus Sunna ke hote to kya hukm waarid hota tha?

    • Wajahat Hussain Al-Hanafi

      Muhammed Irshad Ul Haque Nahi !
      Sirf is liay Duf nahi hay k yeh raafzi hain !
      Balky !

      عبد الله بن عبد القدوس
      Inko baaz aaemmah nain Sadooq aur baaz nain Daif bhi kaha hy !
      Aur khas tor par jo Fazail e Ahl e Bait main ahadith dyty hain yeh us par kalaam kiya hay !

      Bilkul yehi haal
      عبد الله بن داهر الرازي
      Ka hay !

      Ahl e bait Fadil k baab main Ahadith gharny ka Ilzaam hay !!

    • Wajahat Hussain Al-Hanafi

      Agr Rawi shia hota !
      Sadooq hota !
      Ahadith gharny ka Ilzaam na hota !
      To is Hadith ko Hassan qarar day dayty
      Q k is k shawahid bhi thy !
      Aur is hadith ki Asnaad main sab say qawi sanad ho jati !

      Agr Rawi Ahl e Sunnat hota !
      Daif hota ! Phir bhi Du'f ka hi hukam lagta !
      Thiqah hota ya sadooq hota to Sahi ya Hasan ka hi hukam lagta !

      Aamir Ibrahim
    •  وخرج الحاكم في المستدرك ( ج 2 ص 343 وج 3 ص 150 ) في كتاب المناقب في مناقب اهل البيت عليهم السلام بسنده عن ابي اسحاق عن حنش الكناني قال : سمعت أبا ذر وهو آخذ بباب الكعبة يقول من عرفني فانا من عرفتم ، ومن انكرني فانا أبو ذر ، سمعت النبي صلى الله عليه وآله يقول : مثل اهل بيتي مثل سفينة نوح في قومه من ركبها نجا ومن تخلف عنها غرق .
      هذا حديث صحيح على شرط مسل
      Narrated by Abu Dhar (ra) who said that when he was holding the door of Kaba, he heard the Prophet (saw) say: Know that the Ahlul bayt are like Noah’s ark, whosoever embarks it is saved and whosoever is left out has perished [Mustadrak al Hakim, Volume No. 2, Page No. 342, where he said: This Hadith is Sahih on the Criteria of Muslim]

    • Aamir Ibrahim Wahabi iss hadees kay bohat Khilaaf hain ... Imam Zahabi (rah) nay bhi Imam Hakim ka Taqub kiya hai aur un ki Tasih ko mazbooti say radd kiya hai ...lekin Imam Zahabi kuch ziyada he Imam Hakim kay khilaaf ho jatay thay, kai dafa tou lagta tha Imam Zahabi jaan bojh kar Rafizis kay rad main ahadees ko Mawzo aur Zaeef bol jatay thay

      Mere iss hadees par complete research nahi hai abhi .. agar jayyid ahle sunnat kay ulama iss ko Sahih ya hassan mantay hain tou main bhi maan loon ga, lekin abb tak ki tehqeeq kay mutabiq mujhay yeh hadees Zaeef hee lagti hai

      Yaad rakho iss hadees ka matlab theek ho sakta hai ... Allahu wa Rasuluhu A'lam.

    • Nadeem Ahmed only Imam ibn Hajr r.a ne Hasan kaha hai majority ne Zaeef kaha hai :( Wajahat Hussain Al-Hanafi bhai

    • Aamir Ibrahim Nadeem Imam Ibn Hajr nay kidhar hasan kaha hai? Agar aap dikha do tou un ka qawl hee kaafi hai kyoonki wo Ameer ul Momineen fil hadith manay jatay hain Shafi fiqh main.

      mainay ek Mawquf hadeeth parhi hai Musannaf Ibn Abi Shaybah main jiss ki sanad k9o wahabi bhi radd na kar sakay.

      Wahabi said: Besides all the above quoted Marfoo’ narrations, there is a Mawqoof Athar of Ali (R.A.). It was reported by Ibn Abi Shaybah in his “Al-Musannaf” (6/372, h.32115):

      Ibn Abi Shayba said: Narrated to us Mu’awiyah bin Hisham who said, narrated us ‘Ammar from A’mash from Minhal from Abdullah bin Al-Haarith from Ali (R.A.), he said, “Our similitude in this Ummah is like the Ark of Noah and the book Al-Hittah in Bani Israel”.

      All the narrators of this are reliable. But that is not something specific to the members of household of the Prophet (SAW). Ali did not say, “Ahlul Bayt are like ark of Noah”, he rather said, “our similitude are like ark of Noah”. It means similitude of believers or companions are like ark of Noah

    •  Wajahat Hussain Al-Hanafi

      Mera Faisla is Hadith k bary main wohi hay jo is Hadith k bary main Ibn e Hajar nain diya k

      "Main Ilm ka Shyhar hun aur Ali uska darwaza hain"

      Is ki Tamam Asnaad main Shia ya Raafzi Ruwaat hain !!
      Magar Asnaad zyada hony k baais Imam Ibn e Hajr aur Imam Suyuti nain is Hadith ko Hassan Qarar diya !!

      yehi Haal Is hadith ka hy jisy hum nain discuss kiya !!
      Main bhi ALLAH k bharoosay par is Hadith k Hassan hony ka Faisla dayta hun !

      Agr main Ghalat hun to ALLAH paak mujhy maaf farmaay !
      Agr main Sahi hun to yeh sirf uski ata hay !
      Aur Niyyaton k haal wo behtar janta hay...

      Aamir bhai Wajahat bhai ne kaha hai

No comments:

Post a Comment